LATA MANGESHKAR


Dhuan Banake Fiza Mein Lyrics

Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko (2)
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

Khada hoon aaj bhi roti ke chaar harq liye (3)
Sawal yeh hai kitaabon ne kya diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

Safed sang ki chaadar lapet kar mujh par (2)
Fasil-e-shaher mein kisne saja diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

Main ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha (3)
Hawa ne thaam se zameen par gira diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

Watch Lata Mangeshkar Dhuan Banake Fiza Mein video
Hottest Lyrics with Videos
3bc1e6cbead0b9bb4f0feee6351382de

check amazon for Dhuan Banake Fiza Mein mp3 download
these lyrics are submitted by BURKUL4

Official lyrics by

Rate Dhuan Banake Fiza Mein by Lata Mangeshkar (current rating: 7.67)
12345678910
Meaning to "Dhuan Banake Fiza Mein" song lyrics
captcha
Characters count : / 50
Latest Posts